To chaliye dosto aaj hum jaantey hai ki kya hairs ko permanent straight kiya jaa sakta hai ya nahi
Dekho dosto yeh baat to sach hai ki baalon ko straight kiya ja sakta hai but haan ab baat aati hai ki baalon ko kya permanent straight kiya jaa sakta hai to iska answer hai nahi aisi koi technique nahi hai ki aapke baal permanent straight reh saken beacuse jo aapke hairs ka natural bond hai wo nahi broke kiya jaa sakta hai wo alag baat hai aap hair transparent karwa rahe ho but agar aap hairs straightning karwate hai means chemicals ka use apne hairs par to yeh baat aap apne dimaag main bitha lo thats not permanent phir chahe aap rebounding karwayo ya phir smoothning dono ka ek limited time hota hai ki kab tak wo straight rahenge so baalon par kuch bhi try karwane se pehley aap ek baar soch le beacuse after chemical use aapke hairs ki agar aap care na karoge to samaj lo ki aapke hairs ache se nahi maintain honge aur damage honey ke chances bhut jayada ho jayenge so dosto ap jab bhi hairs straightning karwaye to uske baad apne hairs ki care jarur karen aisa na karen ki ek baar hairs straightning karwa li aur uske baad hairs ko chod do ki haan bhai ab to straight ho gaye hai ab kya jarurat inko care ki but yeh galat hai agar aapney hairs ki care nahi ki to aapke hairs kamzor ho jayenge aur tootney start ho jayenge
Dosto agar aap hair straightning karwa rahe ho to yeh jarur dhyaan rakhen ki kisi hair expert se hi apney hairs ko straight karwaye beacuse agar kisi ko dhang se hair straightning na karme aati ho ache se to aapke hairs burn ho sakte hai aur damage bhi so ish baat ka jarur dhyaan rakhen ki aap ek ache hairs expert se hi apne hairs ko straight karwaye jis se ki aapke baal surakshit rahen aur damage na ho aur ek baat aur dhyaan rakhen ki agar hair specialist aapko mana karta hai ki aapke hairs straight nahi ho saktey to please apne hairs ko straight na karwaye nahi to aappke hairs kharab ho jayenge aur aapko katwane padenge so please dont do that nahi to aapko hi muskil pdegi baad main to dosto yeh tha hamara aaj ka topic ki kya hairs straightning permanent hai ya nahi
Aapka koi question hai hairs se related to aap comment main likh sakte ho
0 Comments