Hair straightning

To dosto aj hum baat karenge ek aise topic par jiske baare main bhut se log jaan na chahtey hai to chaliye start kartey hai what is hair straightning aur iske types ke baare main bhi 

Hair straightning kya hai 

Dekho hair straightning ka matlab hai ki aapke hairs ko ya to phir curly hairs ki sidhe karna so isko kaha jaata hai hair straightning kyu ki yeh ek baalon ko sidha krne wali process hai ish process main bhut si chezen aati hai aur bhut se tarike jis se ki baalon ko straight kiya jaa sake kuch tarike hairs ko temporary straight karte hai aur kuch tarike permanent ishe bhi check karen kya hairs ko permanent straight kiya ja sakta hai  
To chaliye friends jaante hai ki haur straightning main kon kon se tarike use kare jaate hai main ish article main aapko dono tarike bataney wali hun temporary or permanent 

Temporary straightning:- 

Ismey friends hum ek heating iron ka use karte hai means straightner ka use jo ki hamare hairs ko straight to kar dega par wo permanent ni sirf temporary iska use hum sirf tab kar sakte hai jab hum kisi party ya kisi function marriage main jaana ho to hum ish process ka use kar sakte hai but daily agar hum hair straightner ka use karenge to ush se hamare baal damage ho sakte hai aur hair fall problem bhi ho sakti hai so isko daily hum use nahi kar sakte aur yeh one time process hai agar aap apne hairs ko wash kar dete hai to wo dobara vaise ke vaise hi ho jayenge 

Permanent straightning:- 

Yeh hair straightning ka aisa process hai jismey ki aapke hairs straight ho jate hain aur long term hote hai matlab ki aap apne hairs ko kitni bhi baar wash kyun na kar len but aapke baal straight hi rahenge isiliye to isko permanent straightning kaha jata hai 

Types of permanent straightning 

1. Hair rebounding 
2. Hair smoothning 

Dosto to ek baat aap log apne dimaag main bitha lo ki yeh dono ek hi kaam karti hai aapke hairs ko straight karne ka dono ka process same hota hai aisa nahi hai ki hair rebounding alag tarah se hogi aur hair smootning alag se bas thoda bhut chemicals ka diffrence hota hai aur process sari same hoti hai to friends ab main aap logon ko batayungi ki hair rebounding aur hair smoothning kya hai to chaliye shuru karte hai 

1. Hair rebounding :-

Hair rebounding ek achi option hai hairs ko permanent straight karne ki ish process main aapke hairs straight to honge but ismey aapke baal damage honey ke chances jayada hote hai agar aap unki ache se care nahi karenge to hair rebounding main aapke hairs par chemicals ka use kiya jata hai jo ki bhut hard hotey hai jinse ki baal ke damage hone ka chance hota hai but yeh process agar kisi specialist se karwaya jaye to yeh aapko better results deta hai aur agar baalon ki ache se care ki jaye to yeh bhut time tak chalta hai hair straightning ki technique best hai for long time straight hairs yeh kum se kum 6 ya 7 hours ka process hota hai but yeh hair straightning ka solution acha hai jis se ki hairs permanent straight rehtey hai 

2. Hair smoothning:- 

Ab baat aati hai hair smoothning ki to jayadatar hair saloons main aapko smoithning hi prefer kari jati hai beacause yeh aapke hairs ko less damage karti hai as compare to hair rebounding beacause hair rebounding main ke chemicals aur hair smoothning ke chemicals main bhut difference to nahi hota hai par phir bhi less damage hote hai hairs ab hair smoothning jaisa ki name se pata chalta hai ki isme aapke hairs ko smooth kara jata hai but yeh hair renounding se kum time deti hai but jab yeh process kara jata hai to ismey bhi aapke hairs ko 5 to 6 hours lagte hai straight honey ke liye so after smoothning aapke hairs jayada ache dikhtey hai as compare to hair rebounding hair rebounding main aapke baal thode banavati type ke dikhtey hai but hair smoothning main aapke hairs natural dikhtey hai  tabhi to jayada hair specialist firstly aapko hair smoothning hi prefer karte hai beacause of less damage to your hairs 

Note :- dosto ek baat yeh bhi hai ki process dono ka same hai chemicals main small sa difference hai baki sab same rahenge dono main 

Agar aapka hair straightning se related koi bhi question hai to humeny comment box main bataye