Baalon ko sidha kaise karen natural tarike se

Dosto aaj sikhtey hai kuch naya ki ap apne baalon ko sidha karne ke liye kya use kar sakte hai wo bhi bina paise kharch kiye matlab aapko na to koi chemical ka use karna hai na koi saloon jaane ke jarurat hai bas ghar baithe hi aap apne baalon ko naturally tarike se straight kar sakte ho 

To chaliye friends bina deri kiye huye shuru karte hai wo tarike jinse ki aap apne hairs ko straight kar saktey hai ishe karne se pehley yeh bhi dekh le niche click karke

Kya baalon ko permanent straight kiya ja sakta hai 

 To dosto chaliye step by step sikhtey hai ki baalon ko natural tarike se straight kaise karen
mix hairs some curly and some straight
Dekho sabse best tarika hai homemade jo ki hai cowmilk

Step 1:-

Apney hairs ko pehle kisi shampoo se wash kar le ya simply hairs ko pani se wash kar len

Step 2:- 

Ab aapko dudh lena hai half glaas and half glaas hi usmey paani daal lena hai 

Step 3:- 

Ab koi spray bottel main ush mixture ko daal len ya agar spray bottel nahi hai to glass main ee rehney do 

Step 4:- 

Ab aapko dekhna hai ki aapke baal poori tarah se sookh chuke hai ya nahi agar dry hai to roots se lekar poore baalon main ush mixtute ko spray kare aur with the help of comb unko sidha kare 

Step 5:- 

Ab aapko tab tak wait karna hai jab tak aapne jo dudh apne hairs par lagaya hai wo shukh na jaye 

Step 6:- 

Ab aapko dobara apne hairs ko paani se wash kar lena hai yeh aapko week main two times karna padega phir dekho 1 month baad aapke hairs kaise naturally straight hona start kar denge 

Dusra tarika-: 

Ab aapko kya karna hai ki alovera gel ka use karke bhi aap apne hairs ko straight kar sakte hai to chaliye jaantey hai alovera gel se kaise baal straight kare 

Step 1-: 

Alovera gel ko coconut oil main mix karke halka sa garam kar lo 

Step 2-: 

Ab aapko wo mixture dheere dheere apne hairs par lagana hai aur dhyaan rakhen roots se start karke hairs ke end tak lagana hai 

Step 3:- 

Kum se kum 2 ghantey ke liye baalon ko chod de aur uske baad unko pani se wash kar len ish tarah se alovera gel ka use karke bhi baalon ko sidha kiya jaa sakta hai 

Simple tarika bhi hai 

Ab aapko ek simple tarika batati hun aapko karna kya hai daily apne hairs ko raat ko wash karna hoga aur unhe piche ki tarah bandh kar sona hai kuch din tak phir aap dekhney langenge ki aapke hairs sidhe hona start ho chuke hai 

Note:- 

Dekho yeh to tarike tha but mehnat to aapko karni pdegi bina mehnat ke kuch nahi hota so ab aap yeh sochenge ki ek din main aapke hairs straight ho jayennge to yeh imposible haan wo alag baat hai aap chemicals ka use karte hai hairs par but naturally time lagega jaise ki wajan badana ho to wo ek din main nahi badhta time lagta hai vaise hi agar aapko naturally hair straight karne hai to time to lagega hi 
Thanku for visiting