Hair care tips
Chalo friends jantey hai ki aap apne baalon ki care kaise kar saktey hai matlab ki aap kaise apne baalon ko chamakdaar lambe aur ghaney bana saktey hai
Dosto dekho pehli baat to yeh hai ki aapko sumjhana hoga ki jaise hum body ki care karte hai ushi tarah hamey apne baalon ki care bhi karni cahhiye jis se ki aapke hairs ache rahenge aur tootenge bhi nahi nahi to hota yeh hai ki hum apney baalon ki taraf dhyaan nahi dete aur phir hairfall problem start ho jati hai
To chaliye shuru karte hai hair care tips
Tip. 1-: aap apney hairs ko hafte main ek baar tel garam karke maalish karen beacause garam tel se maalish karne se yeh hoga ki aapke hairs ke roots ko moisture milega jis se ki wo strong honge
Tip no. 2:- Ande ka istemaal ande main bharpoor maatra main protein hota hai jis se ki aap apne hairs ko protein de sakte hai taki wo tootey na agar kisi ko anda hairs par kaise use karen nahi aata hai to humen comment main bataye
Tip no. 3:- dosto beer sirf peene ke kaam hi nahi aati but yeh aapke hairs ko strong bananey main bhi kaam aati hai jis sey ki aapke baal strong ho saken
Tip no. 4:- aap apne baalon par iron products ka use na karen jaise ki straightner hair dryer beacause this is not good for our hairs agar straightning karni bhi hai to aapko temperature set karne wala straightner use karna chahiye
Tip no. 5:- Baalon ko dhone ke baad unhe simple tarike se dry honey de aur towel ko halke haaton se apne hairs par ghumaye jis se ki aapke baal tootey nahi
Tip no. 6:- ek healthy diet jarur le jis se ki aapke hairs strong bane rahen
Tip no. 7:- Ho sake to daily apne hairs ko kisi ache shampoo se wash karen
Tip no. 8:- daily hairs main oil lagaye jis se ki wo chamakdaar dikhenge
0 Comments