How to take care of the straight hairs
Chaliye friends jaante hai aaj ki kaise hum apne chemically straight hairs ki care karen taki wo straightning ke baad damage na ho dekho dosto straightning karwaney ko to sab karwa lete hai but main baat hoti hai ki hairs ki care karna because agar aap inki care nahi karenge to yeh damage ho sakte hai aur phir yeh bhut rough tough se lagenge dikhne main aur aapko hairfall bhi ho sakta hai sabse jayada jo logon ke hairs ke sath hota hai after straightning that is hairfall problem bhut se logon ki complaint aati hai ki hamare hairs toot rahe hai humney bhut kuch try kiya phir bhi hairfall stop nahi ho raha hai ab baat karte hai ki kaise hair fall ko roka jaye
How to take care of the straight hairs
Ab baat karte hai pehle to un logon ki jo kehtey hai ki hamen hair fall ho raha hai jab ki hum bhut si care karte hai hair spa vagerah sab karte hai but phir bhi hair fall ho raha hai
To isko vajah bhut si ho sakti hai
1:-
Aapne hair straightning hair stylist ke mana karne ke vavjood bhi karwayi ho means ki jab aap hair straightning ya hair smoothning ke liye kisi saloon main jaate hai to firstly wo aapke hairs ko check karte hai ki wo straightning ke liye ready bhi hai ya nahi wo check karte hai aapke hairs kitne strong hai because sabke hairs types alag alag hote hai click here to check hair types Jo ki maine apne previous article main bataya hai details main click karke aap check kar sakte ho
2:-
Aapne unki care ache se nahi kari means after straightning aapne jo products saloon se diye jaate hai wo nahi liye to bhi wo ho sakta hai beacuse hair stylist aapko prefer karte hai ki 1 month ke liye unke diye huye products ko hi use karen
3:-
Aapko ek personal experiance batayun ek ladke ne saloon se hairs straight karwaye usko mana bhi kiya gaya hairs stylist ne but usne phir bhi karwaye aur next day uske half of hairs hand main aa gaye so aap khud socho ki aise hair straightning karwane ka koi fayada to hai nahi
How to take care of the straight hairs
Chaliye ab jaante hai ki hairs ki care kaise kare straight hairs ki care
1:-
Sabse pehle to aapko yeh advice di jaati hai ki agar hair stylist aapke hairs ko straight karne ko mana kare to aap apne hairs ko straight na karwaye nahi to wo toot sakte hai
2:-
Jo hair products wo prefer karte hai aapko hair straightning ke baad aapko wahi use karne hai kum se kum one month ke liye jo ki aapke hairs ko damage hone se bachayega
3:-
Aapko apne hairs ko sun light se bachana pdega means jab bhi aap bahar nikle to ek umberella leke nikle aur sunlight main jayada time tak hairs ko na rakhen because too much sunlight bhi aapke hairs ko damage kar sakte hai
4:-
Jab bhi aap hairs wash karen ache se kare pehle shampoo phir conditioner use karen how to wash hair properly
5:-
Jab bhi aap bahar nikle ya phir jab aapke hairs dry ho jaye tab aap apne hairs par ek acha sa serum apply jarur karen jis se ki aapke hairs bright bhi dikhenge
6:-
Ap apne hairs ko hafte main ek baar oiling jarur karna wo bhi oil ko garam karke aap coconut oil aur sarson ka tel bhi aap use kar sakte hai
7:-
Aap apne hairs ko protein cream bhi laga sakte hai aur ap eggs ka use bhi kar sakte hai hairs par jis se ki aapke hairs ko protein milega jo ki sabse important hota hai ki hair fall na ho
8:-:
Aap apne baalon ko jitna ho sake heat iron ka use karna avoid karen or hair dryer ka bhi because ish se aapke hairs dry ho sakte hai
9:-
Baalon ko wash karne ke baad ek dum se kangi ka use na karen ish se aapke baal toot sakte hai beacuse ush time baal wet hote hai
10:-
Aap apne hairs ki triming karwate rahen jis se ki do muhen baal na aayen
11:-
Aap jo khana khate hai wo bhi matter karta hai aapke hair par uska bhi effect hota hai so aapko jayada protein wala khana khane ki salah di jaati hai jis se ki aapke hairs strong honge aur ache bhi dikhenge
12:-
Agar aap in sab chezzon ko proper way main follow karte hai to aapke hairs na ho damage honge aur na ho aapko hairfall hoga
Note:-
Agar aapke hair stylist ne mana kar diya hai aapke hairs ko straight karne main to aap hairs straight na karwaye
0 Comments